37.

2K 35 57
                                    

A U G U S T  — three years later

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

A U G U S T — three years later

"Uth toh gayi hai aapki laadli, bas aatay hee houngay woh!", Inshyrah ne muskuratay hoye kaha tha.

"Ah, finally!", Aalia ne purjosh awaaz mein kaha tha aur Saira bhi Inshyrah ki taraf murrgayein.

"Kasam se, itna khush aap mujhay dekh kar bhi aj tak nhin hoyein!", Inshyrah ne khaffa honay walay andaaz mein barr baraya tha. Saira apni hassi bamushkil rok payein thein aur Aalia ne usse ghoora tha. Agar shayad Saira wahan na hotein toh woh ab tak maar kha chuki hoti.

Aalia aur Saira kuch din k liye Karachi ayein thein. Dou teen din baad unhay Islamabad jaana tha jahan Shehryar aur Anaya eik dou saal pehlay shift hogaye thay. Masroofiyat k baiz dono hee kaafi dinoun se apnay bachoun se nhin milsakein thein. Yeh eik masla tha jo woh dono face karti thein kioun ke sab bikhar chukay thay.

Aalia aur Musab ab bhi Brighton mein hee rehtay thay. Musab ko unkay abba ka ghar aur business mein unkay haq k shares Saira k israar k baad dediye gaye thay. Ghar unhounne Shehryar k hee kehne pe uskay naam kar diya tha, aur business k shares Inshyrah k. Shaheer Sahab bhi kuch mahinay baad hee retire hogaye thay aur ab Salaar CEO bannke business sambhal raha tha. Apna MBA, Salaar k bahar jaakay karne k israar k bawajood, Inshyrah ne Karachi ki hee achi university se karliya tha aur ab woh dono milkar business sambhal rahay thay. Business world mein woh dono bohat mashoor thay. Aur hotay bhi kioun nhin, woh eik power couple maanay jaatay thay. Jitne masoom aur shararti woh ghar mein thay, uskay baraks utnay hee sanjeeda aur waqf kaam k maamlay mein thay.

Inshyrah aur Salaar ne Karachi walay ghar mein hee apni jagah banali thi. Shaheer sahab k retirement k baad se Saira aur Shaheer saal k chand mahinay ya toh Pakistan mein Islamabad aur Karachi k beech mein hee safar kartay nikaal detay, aur baqqiya mahinay UK mein apni beti k paas hotay ya phir apnay behn bhai k saath beetay waqt ka azaala karne k liye unkay saath rehte.

Eid ki chuttioun aur bachoun ki summer-winter vacations mein poori family saath ikhatta hoti thi. Kabhi Karachi, kabhi Islamabad ya kabhi UK.

"Yeh dekho, kon milne aaya hai! Nano aur dado.", Salaar kamray mein daakhil hoa tha aur muskuratay hoye kaha.

Salaar k godh mein taqreeban eik saal ki bachi charhi hoi thi. Uskay gardan k gird haath lipatay hoye, usne Salaar k kandhay se sarr uthaatay hoye murr k dekha tha.

Inara Salaar Ahmed. Shaklan woh bilkul apnay abba par gayi thi. Wohi choti seedhi naak, lambi palkhein aur gehre bhooray halkay curled baal. Ubharti muskurahat pe uskay baayein gaal pe eik chota sa dimple ubhra tha, bilkul apnay baba jaisi muskurahat. Bas, agar apni ammi se kuch liya tha toh woh uski halki bhoori aankhein thein, jo dhaltay sooraj ki kirnoun mein shahed jaisi hogayi thein. Sufaid gaal halkay halkay surkh horahay thay aur gehre bhooray baal side mein clip se set hoye thay. Inshyrah ne hasstay hoye naffi mein sarr hilaya, itne mahinoun mein Salaar ne sirf eik clip ko sahi se lagana seekha tha.

Qurbat | ✔️Where stories live. Discover now