18.

604 43 177
                                    

Usne phone katt kar jaib mein daala aur Inshyrah jahan thi wahan aanay laga

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Usne phone katt kar jaib mein daala aur Inshyrah jahan thi wahan aanay laga. Inshyrah mukhtalif churrioun se gheri hoi thi aur baari baari sab ko try karne mein lagi thi, confusion uskay chehray par wazeh thi. Uskay barabar mein thellay rakhay hoye thay jiska matlab woh apnay kaam se farigh hogayi thi. Salaar wahan kharra usko dekh kar muskuraya aur uski taraf barhne hee laga jab uski nazar peechay kharray dou larkoun par parri jo stall ki table se ladd kar hassrahay thay, aur unki nazarein Inshyrah ki taraf thi.

Salaar ne eik gehri saans li aur unki taraf barh gaya. Larkay abhi bhi Inshyrah ko hee dekh rahay thay jab Salaar unkay barabar mein aa kharra hoa aur unki tarah latt gaya.

"Khoobsurat hai na?", Salaar ne madham awaaz mein larkoun se poocha. Larkoun ne confusion se usko dekha aur phir eik dosre ko. Aakhir mein dono ne asbaat mein sarr hilaya.

"Pyaari aur achay ghar ki bhi lagti hai.", iss baat par dono larkoun ne hichkichatay hoye sarr hilaya.

"Tum logoun ki behn ki age ki hogi, unko bhi bazaar aese dekhne dikhanay k liye laatay ho?", ab Salaar ne sanjeedgi se bola tha aur woh dou larkoun ne usko ghussay se dekha.

"Mister, aap hain kon? Jayein yahan se, patanhin kahan kahan se uth kar aajatay hain!", Salaar k eik dam saamne woh dono kharray hogaye.

Eik larkay ne roup dekhanay ki koshish mein Salaar k haath se uskay thellay cheenne ki koshish ki magar usse pehlay k woh untak pohanchta Salaar ne uskay gaal par eik zorr se thappar lagadiya.

Salaar phir seedha kharra hoa, uski taqreeban 6 foot ki height ne usko unkay saamne eik khamba banadiya tha magar woh dou tab bhi na rukay aur na Salaar baaz aaya. Eik haath udhar, eik laat idhar. Maamla poora hatta payi par aagaya tha.

Inshyrah ne paise dekar churrioun se packed dabba muskuratay hoye uthaya aur tab uski nazar paas lagtay majmay par parri magar nazar andaaz karti woh uss dukaan ki taraf barhi jahan usne Salaar ko dekha tha. Kareeb aanay par jab usko Salaar nazar na aaya usne aas paas har jagga dekha magar woh taqreeban 6 foot uncha bewaqoof insaan kahein nhin dekha. Aur tab hee usko kuch khatka.

Ghabrati woh wapis uss churri walay k stall k paas lagtay majmay ki taraf ayi. Logoun k beech mein se nikaltay hoye woh beech mein ghussi jahan ka manzar dekhte uskay haath mein se thellay neechay gir gaye thay. Salaar zameen par girra hoa tha aur uskay upar koi kharra usko daboj raha tha.

Inshyrah tezzi se aagaye barhi aur Salaar ke upar se aadmi ko dhakka detay hoye uthaya aur poori kuwat se usko aankh band karkay thappar lagaya jiske baiz woh larkharata hoa peechay apnay saathi se takraya.

Inshyrah Salaar k saath ghutnoun k bal beth gayi jo khaasta seedha horaha tha, "Tum pagal hogaye ho? Marne ki khuaish hai?"

"Toh aese khamosh bhi toh nhin kharra rehsakta tha na!", khaastay hoye Salaar ne fatehana muskurahat k saath kaha aur Inshyrah ne aankhein pherrein aur usko sahara diya, bewaqoof insaan!

Qurbat | ✔️Where stories live. Discover now