00.

11.3K 152 50
                                    

Darwazay k bahir khari gehri saansein leti hoye, woh apnay aansu ko behne se rok rahi thi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Darwazay k bahir khari gehri saansein leti hoye, woh apnay aansu ko behne se rok rahi thi. Uskay saaray mansoobay ultay parr gaye thay, saari mehnat paani mein behgayi thi. Usne kabhi nhin socha tha woh iss haalat mein apnay ghar k bahar kharri hogi.

Eik girtay hoye aansu ko woh poch hee rahi thi jab darwaza khula. Darwazay ko eik halkay gulabi rang k shalwar kameez, gardan mein eik motioun ka haar aur baal dheelay jorray mein bandhay aurat ne khola tha jinke chehray par wazeh khushi thi.

"Beta? What a pleasant surprise! Eik phone kardeti aanay se pehlay, cab mein toh na aana parta!" Usko gallay lagadetay hoye woh bolein magar unko gallay lagtay hee jaise woh apnay aansu nhin ruksakay aur woh ronay lagi.

"Aray beta, kiya hoa? Ao andar ao!", woh apni beti ko aese dekh kar waqqai ghabra gayein thein. Mulazim ko saaman andar laanay ka kehtay hoye woh baazo se pakar kar usko living room mein le ayein jahan unkay shohar bethay thay. Apni beti ko iss haalat mein aese dekh kar woh bhi harr bharra k uth gaye thay.

"Kiya hoa tumhein? Aur tum achanak yahan?", woh ab apnay abbu ki sawalati nigaahoun aur uski ammi ki tasalioun k beech mein bethi thi. Chand lamhay baad woh sambhali.

"Abba... m-mere saath bohat burra hoa. Mere saath d-dhoka hoa hai!", usne tissue se apni aankhein saaf karte boli aur uskay abba k chehray par foran hee ghussay ki lehr aagayi thi.

"Kiya kya aur kisne? Abhi naam batao, aur phir mein khud sambhaloun ga uss shaks ko!", uskay abbu ne ghussay mein bola aur unki begum ne unko haath k ishaaray se sambhalne ko kaha.

Woh chand lamhay mazeed khamosh rahi aur phir ussne sab kuch bataya. Woh sab kuch jo k woh batana chahti thi, aadhi sachai. Apni galtiyaan aur kesay woh apni khushi k liye dosroun ki khushiyaan tabah karne chali thein k baaray mein nhin, balkay kesay woh shaks uskay ghar mein ghus kar usko blackmail kar raha tha. Filhal unko sirf apni aziyat nazar aarahi thi. Meri bhi toh khushiyoun ki aas khatam ki usne!

Uskay abba ko shadeed ghussa aagaya tha. Ikloti beti honay k baiz woh unki laadli, usko koi bhi koi nuqsaan pohchaye, woh hisaab lenay pohanch jaatay thay badtar nuqsaan pohn chatay. Unki aankhoun par pyar ki dhund chah gayi thi magar uski ammi k liye aesa nhin tha. Uski ammi ko kisi cheez ki garbarri ka ahsaas hogaya tha. Jo woh kehrahi thi, usmein kuch toh chupa hoa tha. Abhi bhi cheezoun par pardah dalla tha.

Usse pehlay k woh apne shaq o shauba ko saamne laatein unkay shohar ne ghussay mein bola, "Naam batao uska, abhi haddi pasli barabar karwata houn!"

"Nhin abba, aap aesa kuch nhin kareinge. Aapko meri qasm!", usne unki taraf jhuk kar, unkay ghutnoun par haath rakh kar minnat kartay hoye bola. Uskay abba ne eik nazar apni begum par daali aur unko uljhan se dekha jiske jawab mein unhoun ne na samjhi mein kandhay uch kaadiye.

Qurbat | ✔️Where stories live. Discover now