04.

886 55 45
                                    

WARNING:This chapter mentions about alcohol consumption and assault

Ups! Ten obraz nie jest zgodny z naszymi wytycznymi. Aby kontynuować, spróbuj go usunąć lub użyć innego.

WARNING:
This chapter mentions about alcohol consumption and assault.
Viewer's discretion is advised.

O C T O B E R — two years ago

Uss raat k baad, Salaar kaafi masroof hogaya tha. Shams wapis Pakistan k liye 2-3 din baad hee rawana hogaya tha. Usski khariyat ki itlah aanay k baad hee dosray din uski ammi ki call ayi thi, aur unka sab se pehla sawaal eik larki k hawaalay se tha.

"Tum ne bataya kioun nhin tum kisi ko pasand kartay ho!", Salaar ki ammi shikaeeti lehjay mein bolein thein.

"Hain hain hain? Yeh aap se kis ne kaha?", Salaar unke iss shikayat par hairan hoa tha.

"Shams k saath dinner par jis ko bulaya tha! Sunna hai bohat khoobsurat aur saleeqay mand hai."

"Ammi, aesa kuch nhin hai! Woh sirf achi dost hai!", iss khabar k peechay sirf eik hee banda tha. Beghairat insaan!

"Mein konsa tumhari shaadi ki baat kar rahi houn. Mein bas hairaan houn kiounke aaj se pehlay toh tum ne kabhi kisi larki se dosti nhin ki."

"Aaj se pehlay apnay kabhi mere naye dostoun k baaray itna interest bhi nhin dekhaya!", har baat ka jawaab inke paas mujood tha.

"Tumharay konsay naye dost bantay rehtay hain. Eik hee ke saath tikkay hoye aur dimagh chaatte ho peechlay 18 saal se.", magar maa toh hoti hee hain do kadam aagaye.

"Acha bhae, aap toh bas meri beizzati hee karti rahein gi. Aesa kuch nhin hai. Khuda ka waasta kisi ko mat bataye ga! Khaam kha mein sab ko shaq honay lagta hai.", Salaar ki awaaz mein minnat bharri thi, jaise k agar woh unkay saamne hota toh unkay paer par jaata.

"Bhala meinne kis ko batana hai!"

Iss larki se dosti ki khabar ab Salaar ki behn, Sehar, aur unkay shohar, Adeel, ko bhi pata chal gayi thi aur unhoun ne ab Salaar ko shaadi k naam se chirr hana shuru kardia tha jiska jawaab Salaar ne kuch koshishoun k baad dena chorh diya tha. Baat kahan se kahan chali gayi aur woh kahan phans gaya.

• •✽• •✽• •✽• •✽• •

Ussi dinner k baad se Salaar aur Inshyrah ki bhi koi khaas mulaqaat nhin hoi thi. Dono eik dosray ko haal ahwaal poochne k liye phone karletay magar parhai ka bojh barhne se dono kaafi masroof reh rahay thay.

Dekhte dekhte, do haftay guzar gaye thay. Shehryar London aaya hoa tha aur unhounne raat ko dinner ka plan banaya tha. Anaya aur Inshyrah ko parhai k naam se eik din k liye chutti ki shadeed zaroorat thi. Inshyrah ne text k zariye Salaar ko bhi daawat di thi, jiski Salaar ne masroof honay ki wajah se maazrat karli.

Saturday ka din tha. Bahar tez dhoop nikli thi aur aaj raat k liye Anaya aur Shehryar tayaar thay, albatta Inshyrah akhri minute tak assignment taalne ki wajah se masroof thi.

Qurbat | ✔️Opowieści tętniące życiem. Odkryj je teraz