21.

658 43 190
                                    

• •✽• •✽• •✽• •✽• •

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

• •✽• •✽• •✽• •✽• •

• •✽• •✽• •✽• •✽• •

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

• •✽• •✽• •✽• •✽• •

"Yes, absolutely yes! Hamesha haan!", Inshyrah ki aankhoun mein paani ubhar aaya tha aur woh eik girtay aanso ko pochtay hoye halkay se hasti hoye boli.

Salaar k chehray par uski makhsoos gehri muskurahat pehlay se zayada numaya thi. Usne dabbay ko apni taraf kiya aur usmein se angoothi ko nikaalne laga. Hount dabanay k bawajood uska daayein gaal par dimple wazeh tha.

Usne aapna haath Inshyrah k liye aagaye barhaya aur Inshyrah ne apna daayan haath uskay haath mein rakha aur usko dekhti muskura rahi thi.

Salaar ne uski chauti ungli mein uss heeray ki angoothi ko pehnaya jo k LEDs ki madham roshni mein bhi chamak rahi thi.

Woh uska haath choray binna kharra hoa aur uski surkh hoti magar halki chamakti bhoori aankhoun mein dekh raha tha aur woh uski andheray ki tarah gehri aankhoun mein. Itne kam arsay mein usko inn aankhoun aur uski muskurahat ki aadat hojayegi, Inshyrah ko hairat horahi thi.

Salaar usko gallay hee laganay wala tha k ghar k andar se awaaz ayi. Dono ne barwaqt sliding door k paar dekha, Inshyrah ne confusion k saath aur Salaar ne murrkar khufgi se dekha.

"Salaar, I think tumharay ghar mein koi hai.", Inshyrah ne uskay kandhay par haath rakhtay madham awaaz mein kaha.

"Koi nhin hai, Inshyrah. Tumhara veham hai.", baat ko dabanay ki koshish mein Salaar ne kaha.

"Nhin yaar, hai!", Inshyrah Salaar ki barabar mein se hatti aur andar ki taraf barhi. Salaar ne khufgi se sarr jhatka, way to ruin the moment.

Inshyrah sliding door se andar ayi aur konay mein rakhay lamp ko jalaya jisne jss madham roshan kamray ko thora aur ujaala kiya. Inshyrah aihtiyaat se kamray ka jaiza lerahi thi, aur phir eik jagga kharri rukki aur khufgi se boli, "Yaar tum logoun ko kabab mein haddi bannay ka kiya shoq hai?"

Salaar ko pehlay samjh nhin aaya woh kisko kehrahi thi aur kahan. Woh bhi sliding door se andar ghuss gaya.

"Tum dono namoonoun ko kehrahi houn. Parday k peechay chupna is not a good spot, kabhi chupan chupayi nhin khela hai kiya? I can see your feet!", Inshyrah ne bola tha aur chand lamhay parday k peechay khus phussarr honay k baad eik taraf se Anaya sharminda muskurahat k saath bahar nikli.

Qurbat | ✔️Where stories live. Discover now