Chapter 31|Multiworld (لمحوں میں قید جہاں)

1.2K 156 266
                                    

Lgaya dil buht par laga nahi

Oops! Questa immagine non segue le nostre linee guida sui contenuti. Per continuare la pubblicazione, provare a rimuoverlo o caricare un altro.

Lgaya dil buht par laga nahi

Tere jesa koi humko mila nahi

Zamaney bhar ki baatein unse keh di

Par jo kehna chahiye tha woh kaha nahi

Sarrinah rubbed her heart, eyes flooding in pain. She was about to burst in tears but held it back and sat down on the cold marble to catch some breathes. The mind was reminscing the flashbacks when she had packed her bags for Istanbul.

•FLASHBACK•

"andar ajaoun? " Shiza asked politely with a smile. Sarrinah straightened herself.

" apko puchne ki zrurat kbse parne lg gyi hai?" she asked without looking at her.

" jab se tumhey lgta hai mein ne over protective ho kar tumhey aagey barhne se rok diya hai."

Shiza sat down with a warm look in her eye and pulled her hand to make her sit beside.

" aisi baat nahi uss din shayd jazbaati ziada hogyi thi." Sarrinahto dismiss the emotional side.

"Pata hai asal ghalati hum sb yhan kartey hain..." she paused to make her look into her eyes and then continued.

" hum sahi waqt, sahi jgah, sahi emotion express nahi krtey aur phir iss se yeh hota hai kay humarey emotional expressions misplace honay lgtey hain. Jb jo express krna chahiye woh nahi krtey aur tb krtey hain jb na jgah hoti hai na waqt. "

" aisi baat nahi hai. Shayd kuch dino ne se namaz mein dil nahi lgta, duaein samjh nahi aati kiya maangu, Quraan parhne ka waqt nahi mil paata. Shayd islye yeh sab hota hai." Sarrinah was scratching her palms cluelessly.

" aur yeh hum dusri ghalti krtey hain kay msley ka hal uss jgah talash krne ki bijaye jahan se masla shuru hua hai baaqi har jgah dhoondna shuru kr dey." Shiza was caressing her hands.

" surah yusuf ki ek ayah hai Sarrinah, uski tafseer parh rahi thi mein ek din. To usme likha tha insaan ek nahi dou duniya mein rehta hai. Ek hota hai, world inside aur ek hota hai world outside. Aur baaz dfa hum jese apni andr ki duniya ko bnaatey hain , bahir ki duniya ko bhi uss hi ayeeney mein dekhtey hain. Insaan ki zruriyaat yaani kuch basic needs hain. Pehli hain physical needs. Phir aati hain spiritual needs. Yeh woh zrurat hai jo humey apni aur Allah ki pehchaan krwati hai. Phir hoti hain emotional needs. Yeh woh zrurat hai jo humey tahafuz, apnayat, muhabbat aur izzat faraham krti hain. Baki aur bhi buht si zruriyaat hoti hai. Jese intellectual needs jo tumharey andr hai, apni zindagi mein kuch accomplish krne ki. Yeh sb tahein hain jinhey " layers of needs" kaha jata hai. Aur baaz dfa aisa hota hai kay yeh ek dusrey pr asar andaaz hoti hain. Dominal effect hota jese. Lekin insaan ki aqal ka taqaza yeh hai kay woh yeh pehchanney kay asal masla kis department mein arha hai. Humara msla yeh hai aksar kay hum haar masley ka hal, spiritual department mein dhoondney lg jatey hain. Its similar as we try to give spiritual solutions to emotional problems. Lekin msla jarr theik krne se hal hota hai shakhein torney jorney sse nahi. "

RANJISH HI SAHI [𝕮𝖔𝖒𝖕𝖑𝖊𝖙𝖊𝖉]Dove le storie prendono vita. Scoprilo ora