Chapter 7| Beloved? (سن یارا)

2.4K 202 320
                                    

"اور ہر انسان کا معاملہ یہ ہے کہ لٹکا دی ہے ہم نے اسکی تقدیر اس کی گردن میں اور نکالیں گے ہم اسکو دیکھانے کے لیے روز قیامت ایک نوشہ، پاے گا وہ جسے کھلی کتاب کی مانند۔

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"اور ہر انسان کا معاملہ یہ ہے کہ لٹکا دی ہے ہم نے اسکی تقدیر اس کی گردن میں اور نکالیں گے ہم اسکو دیکھانے کے لیے روز قیامت ایک نوشہ، پاے گا وہ جسے کھلی کتاب کی مانند۔

پڑھ اپنا اعمال نامہ کافی ہے تو خود ہی آج اپنا حساب لگانے کے لئے-"

(بنى إسرائيل ١٤-١٣)

_________________

Aap samajhtay hain galey mein taqdeer latka dena kiya hai? iska mtlb yeh hai kay aap apne kiye gye kisi bhi amal se bhaag nai saktey. You have to face and own the things you are responsible for. kisi ko kaha gya ek lafz bhi hawa mein tehar jata hai aur apkay jism pe chipak kar reh jata hai. aapne ek technology kay baarey suna hoga kay scientist aisey aaley tyaar krne ki koshish krtey hain jis se awaazo ko interpret kar kay dobara se chalaya jaye. yani ap unn mechanical waves ko kisi trha electrical signals mein convert kr kay woh awaazein sun saktey hain jo waha boli gyi thi maujooda zamaney se qabl. Quraan iski tafseel pehle hi deta hai kay apka kiya hua har amal acha ho bura ho naiki ho dhoka ho, boli hui har baat achi ho ya buri, apkay galey mein latak kar aapse chipak jata hai aur uska vazn aap saari umar apne saath liye phirtey hain na kay sirf duniya ki hayat mein blkay jab roz e hashar uthaye jayein gai to tb Allah Paak aapse mukhatib hon gai kay parh apni taqdeer . uss waqt insaan jaanta hoga uska ek ek azaa janta hoga woh kiya karta aya hai. uss lamhey insaan kay samney uska ehtasaab itna vaaziyah hoga kay woh khud hi apna amaal naama parh kar sahi ghalat ka faisla krne kay lye kaafi hoga. asoolan to yeh duniya bhi mukafaat e amal hai. aap kisi ko jo detey woh apki trf bhaag kay laut ta hai. aur dhokay ko apne maalik se buht muhabat hoti hai... poori duniya mein kahi bhi chup jaye woh ussay dhoond leta hai. duniya buht lambey arsay ka samaan nai hai. woh sab ikhata karein jo roz e hashar apne lye parh bhi paayein.insaa n waqti jazbaat mein buht khasaarey kay sauday kr leta hai. kamaayi hui naikya bhi gwa deta hai kisi ki gheebat kar kay, kisi kay saath bdneeyati kar kay. Zindagi mein Allah nawaazta hai, Woh kehta hai uski anayat aam hai woh momin pr bhi hai aur awaam un naas pe bhi, farq sirf itna hai aap apne imaan waley honay ki zamnat dein. Woh to aapko naimatei deta hi hai. aap shukar krtey hain? Woh to aapko waqt deta hi hai. aap qadar krtey hain? Woh apko wuzu ki taufeeq deta hai aap namaz parhtey hain? Woh aapko rizq deta hai aap uski raah mein kharch krtey hain? Woh apko aqal samjh deta hai aap Quraan pe ghaur krtey hain? Allah hum sb ko roz e hashar ruswaai se bchaaye aur humary aybo pe parda rakh kar humey naiki ki taufeeq dey. ameen.

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
RANJISH HI SAHI [𝕮𝖔𝖒𝖕𝖑𝖊𝖙𝖊𝖉]Where stories live. Discover now