8.9|Fidaa: Their Epilogue|

1.5K 123 6
                                    

In the morning, Kauser opened the door of her bedroom. She was all set to go to the office. But as she stepped out of her room, her eyes fell on Marwaan. He was sleeping on the floor while leaning against the wall.

She frowned.

Why he was sleeping outside her room?

She bent down and caressed his forehead.

"Marwaan, utho."

She cupped his face, trying to wake him up.

"Hmm?" He opened his eyes as his sleep was disturbed by her.

"Mere kamre ke bahar zameen par kyun so rahe ho?"

Marwaan took in his surroundings, getting back to his senses and overcoming the sleepiness.

"Mai sari raat tumhara darwaza khatkhata raha tha, lekin tumne koi jawaab hi nahi diya. Kyun?"

He wasn't asking, he was accusing her.

For ignoring him.

"Arrey, mai toh kal raat Money Heist ka latest season dekh rahi thi."

Marwaan was confused how to react. She was watching some web show when he was pleading her to talk to him.

"Acha, kya wajah thi sari raat mere kamre ke bahar guzaarne ki?" She asked.

"Tumhara iqrar."

"Kya matlab?"

"Fida ne bataya ke tumne ghar ke bado'n ko keh diya ke tum mujhse nikaah ke liye taiyar ho."

"Haan."

Her simple Yes raised many questions in his mind. For years he was making himself believe that Kauser will never marry him, and now when it is happening, he was genuinely puzzled.

"Tumhein koi force toh nahi kar raha naa?" He asked her in a serious tone.

"Kisi mein himmat hai mujhe force karne ki? Aur tum khush nahi ho meri haan se?"

"Khush hona toh chahiye mujhe, par yakeen sa nahi ho raha."

"Kyun?"

"Mai tumse do saal chota hoon. Tum bachpan se mujhe kehti aayi ho ke mai tumhe Aapa kahun. Aur ab jab tum mujhse shadi ke liye maan gayi ho, obviously doubts toh honge."

"Marwaan, to be honest, pehle mai khafa thi iss baat se. Lekin phir jab thande dimaag se socha toh samajh aaya ke shayad tum hi mere liye ek ideal partner ho."

"Woh kaise?"

"Tum mein woh har quality hai jo mujhe apne husband mein chahiye thi. Jo mujhe apne baraabar rakhe. Jo aurat ki izzat karna jaanta ho. You are perfect for me." She smiled, making his heart blossom with happiness.

"Lekin tumhe mujhse mahobbat toh hai hi nahi." He grimmed.

"Toh ho jayegi naa. Shadi ke baad bhi toh pyar ho sakta hai. Aur as a cousin, mai tumse sabse zyada pyar karti hoon."

"Woh toh hai. Lekin mera tumse chota hona tumhare liye problem nahi hai?"

"Marwaan, are you serious? Age is just a number. Mujhe koi problem nahi hai tumhare mujhse chote hone par. Problem bas ye thi ke maine kabhi bhi tumhe ya Aziz ko as a marriage choice nahi dekha. I am not a fan of cousin marriage, jo ke tum achi tarah se jaante ho. Lekin iska matlab ye toh nahi ke mauka milne par mai tumhe as a life partner consider nahi karungi."

"You know what, mai duniya ka sabse bada gadha hoon."

For whole 25 years he kept thinking Kauser will never marry him but now she happily agreed to marry him.

The Art Of Love ✓Where stories live. Discover now