24.Trip

304 90 26
                                    

"Riddhima di ka phone aaya tha"Hriday said and Aayat looked at him as if waiting for him to say further.

"Woh aur jijaji Rohan aur Abhay ko lekr ghumne jaa rahe h kuch dino ke liye,Mount Abu,woh keh rahi thi ki hume bhi unke saath chalna chahiye"Hriday said.

"Aap chutti le payenge hospital se?"Aayat asked and Hriday shook his head in denial.

"Humne kaha ki woh maa ko apne saath le jaye,wese bhi maa yaha rehkr bore ho jaati h din bhar,aur khud se bahar jaati bhi kaha h"Hriday said and Aayat nodded at it then.

"Sahi keh rahe h aap,unke liye accha rahega"Aayat said.

"Pr di keh rahi h ki hum Iti ko bhi unke saath bhej de"Hriday said and now Aayat understood why he seemed a lil worried hearing that.

"Di unka acche se dhyan rakhengi "Aayat said.

"Baat woh nhi h"Hriday said.

"Toh kya baat h?"Aayat asked.

"Woh... actually...humne Iti ko kabhi hamare bina kahi jaane nhi diya h,pata nhi woh manage kr payengi ki nhi hamare bina!"Hriday said.

"Ya yu kahe ki aap kabhi unse durr nhi rahe h isliye aap itne din kese bitayenge unke bina yeh baat apko sata rahi h?"Aayat asked amusedly and he pouted hearing that.

"Hamari ek hi beti h,agar woh kahi chali jaati h toh hame fikra toh hogi na??aur hum unke bina kabhi bhi nhi rahe h aaj tak"Hriday said with a sigh and Aayat so wanted to smile at his words but she didn't.

"Pr Iti ki wese bhi 4 din ki chutti h school se,plus 2 din Saturday aur Sunday h,6 din woh ghar pr bore ho jayengi na Hriday?aap aur hum dono apne apne college chale jayenge toh Iti ka dhyan kon rakhega??wese bhi Rohan and Abhay se Iti ki acchi dosti h,aur Riddhima di ki toh laadli h Iti,agar aap unhe bhejenge toh woh enjoy bhi kr payengi aur Riddhima di ko bhi accha lagega"Aayat said and Hriday sighed.

"Pr di wese bhi Rohan aur Abhay ko sambhalne mein busy hongi,phir Iti?"Hriday said.

"Arre toh aapne kaha na maa jaa rahi h unke saath?maa dhyan rakh lengi unka,maa ke liye bhi accha ho jayega,wese bhi unhe Iti ke saath time spend krne milta hi nhi h neeche baaki sab jo hote h isliye"Aayat said trying to show him the positive side and Hriday knew it was right.

Iti would be well taken care of,and anyways it was just a matter of 6 days,they were going to enjoy it,plus if she stays here she was going to get bored.

"Thik h,phir hum kal di ko haa bol denge,abhi Mount Abu mein bht thandi hogi,hame garam kapde khareedne padenge aur Maa ke liye bhi shawl aur baaki sab lena padega"Hriday said thinking of what all they would need.

"Chinta mat kijiye woh hum college ke baad market se le aayenge"Aayat said and Hriday sighed,thank god he had her,he couldn't have managed shopping for his mother otherwise.

"Thik h hum aapko online paise bhej denge,aur please Aayat agar kam pad jaye toh humse bejizak maang lijiyega,okay?"Hriday asked and Aayat nodded at it then.

"So jaiye ab,late ho gaya h"Aayat said as it was almost 12 at night when Hriday had received the call from his sister because they had made a sudden plan.
_____________________________

"Yeh aapke liye h maa,Hriday ne kaha tha aapke liye garam kapde aur shawl laane ke liye,abhi waha bht thandi hogi na,isiliye"Aayat said as she gave the things she had brought for her mother in law.

Just then Hriday arrived in her room along with Iti.

"Yeh lijiye maa"Hriday said giving her an envelope which obviously had some cash.

Embracing The UnplannedWhere stories live. Discover now