30: Happy Birthday Shona❤

7K 592 89
                                    

Mansoor kaka dropped Nandini to a place near the beach. She could feel Manik's presence near her, but couldnt see him. Suddenly she heard a voice,

Voice: Wahinpe khadi rahogi ya age bhi badhogi?

She pouted angrily but neverthless moved forward. She found a small pamphlet lying there giving her direction. She walked according to the directions and reached a dark place. She was confused now as well as scared. When she was starting to feel restless due to the darkness, she heard a soothing voice.

Voice: Mujhe pata hai ki tum andhere se darti ho.. oops sorry.. andhera tumhe pasand nahin hai. (Nandu pouted) Par Shona, main chahta hun ki isssi andhere ko ujale se bhardun. Aise hi andhere mein aisi yaadein banaun ki age jaake jab bhi andhera ho, tab tab tumhe sirf hamare haseen pal hi yaad aye.

Nandu smiled and suddenly she felt her heart lightening. She was getting comfortable in the darkness. She knew that it was not easy but Manik's love has made it easy. She took another step but was stoped again by the voice.

Voice: Kareeb 10 mahine pehle, mere bhai Cabir Malhotra ki shaadi Navya Bose se hui. Uss shaadi mein sab maujud the siwaye ek ladki ke. Navya uspe bahut gussa thi. Bolti thi ki wo ladki jab use dikhegi na to uska biryani banake burhani raite ke saath kha jayegi. (Nandu laughed). Main curious hone laga uss ladki se milne ke liye. Har koi usi ladki ka gun gaa raha tha. Aur main utawla ho raha tha. Navya ne mujhe uski pic offer ki. Par mujhe to use sachai mein hi dekhna tha. Sab se uski taarif sun sun ke main bawla ho gaya. Navya mujhe kehti thi uske baarein mein to main kehta tha " Hatt pagal, aisi ladki duniya mein ho sakti hai kya? Impossible." Aur wo mujhe bas itna kehti thi, " Jab use asal mein miloge tab tumhe yakeen ho hi jayega. Aur tumhare hosh uddjayenge." Main aur utawla hone laga. ( Nandu was listening to him curiously)
6 mahine beet gaye. Par wo ladki kabhi mere saamne hi nahi ayi. Phir ek din meri maa ne mujhe kaha ki unhone mere liye ek rishta dekha hai. Mujhe unse milwana tha. Ye baat sunte hi pata nahin kyun uss ladki ka khayal mere dimag mein aya. Aisa lagne laga ki kaash ye wahi ladki ho. Har pal bas usike baare mein sochne laga. Socha ki main pagal ho gaya hun. Par main gaya rishta dekhne.
(Nandu felt air being blown at her from back. She could feel him standing really close to her. He lowered his voice to a hushky one and continued.) Wo din meri zindagi ka sabse khushnaseeb din tha. Mere to sachme hosh hi udd gaye. Kyunki wahan jaake mujhe pata chala ki wo wahi ladki thi jisse mujhe shayad milne se pehle hi pyaar ho gaya tha.

Lights came. Nandu was surprised to see the view in front of her. It was astounding.

She turned to get another shock

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

She turned to get another shock. Manik was sitting on his knees. He was looking at her, admiring all her features. Adoring how beautiful she looked in his favourite colour. His eyes met her eyes. He looked in her eyes intently and spoke the lines that Nandu was dying to hear.

Manik: Shona, mujhe tumse milne se pehle hi tumse pyaar ho gaya tha. Thoda der se har cheez samajhta hun na. Isliye ye bhi der se samjha. Par ab itna to jaanta hi hun ki tumhare bina jeena mushkil hi nahin naamumkin hai mere liye. Tum meri rag rag mein bas chuki ho. Tumhare saath pura hun aur tumhare bina kuch nahin. Har saans mein tumhare khayaal leta hun. Pagal ho gaya hun. Aisa pagal jiska koi ilaaz nahin hai. Ye pagalpanti tumhare liye hai. Tum meri beemari bhi ho aur tumhi meri dawa bhi. Pata hai bahut cheesy hai par kya karein, aur kuch shabd aate hi nahin dimag mein. To .......

STEPS WITH YOUOn viuen les histories. Descobreix ara