Chapter 14

1K 51 20
                                    


It was the time of night, the dark clouds were showering the rain and the raindrops were playing with the floors.  In the shed, Muskan and Karan were sitting at the table and two cups were kept on the table. Muskan was shockingly looking at Karan.

Karan: han, ye sach hai ke Sameer ki wife ki ek saal pehle death ho chuki hai.

Muskan thinks.

Karan: Sameer and Maya ki mulaqat takreeban aaj se kuch eight, no saal pehle hoi hogi jab who dono college main the. Pehle dost bane aur phir kab mohabbat ne dosti ki jaga le li unhe pata hi nahi chala. Sameer ne Maya ko propose kiya aur un dono ne ek dusre ko date karna shuru kar diya.

Muskan feels a pinch in her heart.

Muskan: Dono ki families ko koi issue nahi tha, jald hi dono ki engagement ho gai aur parhai complete karne ke baad shadi.

Muskan looked down. She was feeling her heart heavy.

Karan: sab kuch sahi chal raha tha in fact perfect the lekin kismet ko shayad un ka sath manzoor nahi tha. Ek saal pehle, Sameer and Maya cafe se ghar wapis ja rahe the aur raste main un ka accident ho gaya aur us accident main Maya…

Karan stopped. Muskan looked down.

Karan: us accident main Sameer ko bhi kafi choten ayi thi in fact wo ek week tak coma main tha.

Muskan was shocked.

Muskan: kya?

Karan nods.

Karan: ek week bad jab Sameer ko hosh aya to sab se pehle us ne Maya ke bare main pucha lekin tab tak bohat dair ho chuki thi. Sameer, Maya ko hamesha hamesha ke liye kho chuka tha. Sameer, Maya ko ek akhri baar dekh bhi nahi paya tha. Aur ye baat aaj tak us ke seenay main khanjar ki tarha chubhti hai.

Muskan felt bad.

karan: aur shayad zindagi bhar chubhti rahe gi. Maya ko khone ka dard usay kabhi chen se jeene nahi dega.

Karan looked at Muskan.

Muskan: kisi ko khone ka dard kya hota hai ye mujhse behtar kon jan sakta hai.

Karan nods. He sighs and holds his cup and kept it back. Muskan was observing him.

Karan: Sameer ke jism per to ghao the hi lekin un se so (100) gunah gehra ghao dil per laga tha. Waqt ke sath jism ke ghao to bhar gaye lekin dil per laga ghao aaj bhi taza hai.

Muskan was looking at him. She feels bad for Sameer.

Karan: Sameer, Maya se bepannah mohabbat karta tha. Tha kya aaj bhi karta hai aur shayad zindagi bhaar karta rahega.

Muskan was hurt to hear it. She lowered her gaze then she bowed her head.

Karan: main gawah hun Sameer ke pyaar ka maine dekha hai usay Maya ko tot ke chahte howe aur usi chahat main totte howe. Maya ke jane ke bad Sameer bilkul badal gaya tha. Na kisi se baat karta, na kisi se pass bethta bus akele room main ek kone main betha rota rehte.

The tears formed in Maya's eyes.

Karan: tu yahi soch rahi hogi na ke main un dono ke bare main itna kaise janta hun.

Karan and Muskan were looking at each other.

Karan: meri mulaqat Sameer aur Maya se kuch time pehle hoi jab hum bachelor's kar rahe the. Tujhe yaad hai ek workshop hoi thi aur tujhe fever tha to tu nahi ja pai thi.

Muskan nods.

Karan: tabhi main aur Priya, Sameer aur Maya se mile the aur un kuch dino main hi humari achi friendship ho gai.

KismatWhere stories live. Discover now