Last chapter

2.6K 64 27
                                    


It was a time of evening, the birds were hovering over the lake in the forest area. The view was beautiful. A car stopped and someone came near the lake and it was Muskan. This place is her favorite place where she saw Sameer first time. Muskan came forward and she frowned to see a man standing there but his face was on the other side.

Muskan: Sameer.

Sameer turned to her and he was smiling.

Muskan asked while looking around: Tum ne mujhe yahan kyun bulaya hai?

Sameer smiled and he looked around.

Sameer said while looking around: Yeh wahi jaga hai na jahan tum ne mujhe pehli baar dekha tha?

Muskan was shocked and Sameer looked at her.

Sameer: hain na?

Muskan: Tumhe kaise pata?

Sameer smiled and Muskan was shocked.

Muksan: Don't tell me ke tum ne meri dairy parhi hai.

Sameer nodded. Muskan was shocked. Sameer came to her and he cupped Muskan's face. Muskan was looking at him.

Sameer: Bohat hurt kiya hai na maine tumhe?

Muskan was looking at him with teary eyes.

Sameer: I am sorry, Muskan.

Muskan: Sameer, woh sab purani batain hain.

Sameer shook his head.

Sameer: Nahi, Muskan, sach to yeh hai ke main tumhe aaj tak hurt karta aya hun.

Muskan shook her head and Sameer nodded.

Sameer: Yes. Kal bhi kiya aur aaj bhi tum meri waja se sad ho.

Muskan was looking at him.

Sameer: Lekin, ab aur nahi. Ab wadda nibhane ka waqt agaya hai.

Muskan frowned with teary eyes. Sameer smiled. He took out a ring from his pocket and Muskan was shocked. Sameer sat on his knees and it was another shock for her. Muskan was looking at Sameer.

Sameer: Muskan, main andheron main tha tum meri zindagi main umeed ki Kiran ban kar ayi aur padh (tree) ka ghana saaya ban kar reh gai. Tum mujhe andheron se nikal kar roshni main le kar ayi, zindagi ki taraf wapis le kar ayi. Tum na sirf mujhe zindagi ki taraf lai ho balke tum ne mujhe phir se jeena sikhaya hai. Aur ab tum meri zindagi ban gai ho.

Muskan was surprised.

Sameer: Main nahi janta ke yeh sab kab, Kaise aur kahan howa lekin ab Sameer Muskan ke bina adhura hai. Tumhare bina mera koi wajud nahi hai, Muskan. Aur aaj main bina kisi jhijhak ke kehta hun ke main tum se bohat, bohat pyaar karta hun, Muskan... I love you.

Muskan was shocked.

Sameer: I really do.

Muskan was just looking at Sameer with teary eyes. When Muskan didn't give any reply. Sameer got disappointed and he got up. They were looking at each other. Sameer cupped Muskan's face.

Sameer: Main janta hun ke tumhare liye mujh per yakin karna bohat mushkil hai. Lekin yahi sach hai. Aaj main tum se bohat pyaar karta hun. Main manta hun ke main apni feelings ko le kar confused tha lekin ab koi confusion nahi hai. Ab sab kuch clear ho chuka hai aur yeh sab tumhari waja se howa hai. Tum ne mera dunya ko dekhne ka nazariya hi badal diya hai. Tumhare pyaar ne mujhe badal diya hai. Tum ne mujhe sikhaya ke move karne ka matlab betray karna nahi ho, dhoka dena nahi hota balke past main reh kar, khud ko rok kar hum khud se betrayal kar rahe hote hain. Khud ke sath galat kar rahe hote hain. Tum ne mujhe sikhaya ke humari life main har insan ki apni jaga hoti hai koi kisi ki jaga nahi leta. Tum ne meri zindagi main, mere dil main apni alag jaga banai. Mera pyaar jeeta. Mujhe jeet liya. Aur Aaj main tum se beyhad, bepannah, beintaha mohabbat karta hun. I love you. I love you, Muskan.

KismatWhere stories live. Discover now