2 🦋

13.1K 516 25
                                    

While the ladies went to shopping with Azam the rest of the boys gathered in dadi jaan's room.

"Yaar kitna sukoon hai ghar me aaj." Junaid said.

"Haan wo ladaka nahi hai na ghar main is liye." Arsalan said.

"Sharam karo Arsalan miyaan apni behen ke baare me aisa bol rahe ho." Dadi jaan said.

"Ary to dadi jaan apne dekha to hai kaise udham machati rehti hai pure ghar me. Sukoon ka saans naseeb nahi hota." Arsalan ranted.

"Tauba hai, meri bacchi se hi is ghar me rounak hai, mai to yahi sochti hu ke iski shaadi ke bad ghar to soona ho jaega." Dadi jaan said sadly.

"Ary dadi jaan ap fikar mat karein. Abhi to uski shadi me time hai. Waise bhi apki pyaari navasi, Samiya bhi to yahin arhi hai aur jab tak in gadhon ki biwiyan bhi aajaengi." Furqaan comforted dadi jaan.

"Aur ap nahi karengy shadi?" Junaid asked.

"Karlunga par mai gadha nahi hu na islie apna naam nahi liya." Furqaan replied.

"Acha ab bas bhi karo tum log. Junaid beta, apni maa ko phone lagao aur pucho kitni der lagegi."

"Ji dadi jaan."

He pulled out his phone and dailled his mother's number. She picked up after two rings.

"Assalamualaikum ammi."

"Walekumassalam beta, bolo?" Fareha said.

"Kitni der lagegi ap logo ko, dadi jaan puch rahi hain?"

"Bas beta hum raaste me hi hain 10 minute me pohoch jaengy."

"Chaliye to firr dinner sath hi karengy. Ajaen jaldi se." He said and hung up.

"10 minute me pohoch rahe hain." Junaid informed.

"Chalo fir apan khana laga dete hain jab tak. Kaisa?" Arsalan asked.

"Ha sahi hai wo log thake hue hongy." Furqaan agreed.

"Haan jao beta shabbash." Dadi jaan encourage the three of them.

The three scurried out of the room and then started setting the dining table. Halfway through the task they heard loud clatter of voices and they went to living room and saw others with lots and lots of shopping bags.

"Saari shopping aj hi karli kya?" Junaid asked.

"Mai ab in logo ke saath nahi jaunga shopping py maine pehly hi boldia." Azam said.

"Bhaii ye kya baat hui?" Ayesha exclaimed.

"Kya baat hui? Tum dono ko to kuch pasand hi nahi ata." He said pointing at Sana and Zainab.

"Bhai natak mat karen zyada. Agar ap bhabhi ko market me liye liye phire na to phir dekhna ap." Zainab warned her brother.

"Zainab." Furqaan said in a low tone.

"Kya yar bhai ap bhi mujhe hi bolengy ab." She whined.

"Acha choro, ab mere saath chali chalna thik hai?" He said and she smiled and made a face at her other brother while he just rolled his eyes.

"Ye dono meri itni masoom hain, Ayesha aur Seher. Sidhe sidhe chize pasand kari aur leli. Ye dono, tauba, isme dusra color hai, aur design nahi hai, ye shop wo shop. Maaf karo behen." Azam ranted while others laughed.

"Chalo ladkiyon, sab apna apna samaan apne rooms me lekar jao aur dinner lagawane me help karo jaldi se akar. Ye log bhi aate hongy." Sameena instructed.

"Mai to thak gayi yar. Mai nahi kar rahi kuch." Seher said getting up, she stretched and grabbed her bags.

"Seher tameez se akr kaam karwao warna ek zor ka chata padhega sab ke saamne." Ateeqa said.

Tamanna E Khaam ✨Where stories live. Discover now